Ajooba
Short Story Hindi 01
“Boss, bade din baad mil re ho.”
“Kaha! Ye samjho aaj khudse bade din baad milra hu!”
“Kyu, sanyaas liya tha kya?”
“Nahi, uske liye time hai. Aaj kal mazdoori me laga hu.”
“Kyu? Day job chodke mazdoori pe utar aaye ho?”
“Nahi, day job hai. Ye mazdoori ka kaam raat ka.”
“Paiso ki kami?”
“Haa, behad buri kadki samjho. Paise kam, kharche zyaada. Ye chakkar to chalu hi hai.”
“Ab aisa kya kharcha aa gaya?”
“Kuch aisa ki ek kidney bechne ki naubat aa gai hai. Ho sake to doosri girvi bhi rakh deta par fir socha, vo agle time ke liye.”
“To fir abhi?”
“Abhi dukaan jaara hu. Vaha se aakhir aaj le hi loonga.”
“Kya? Koi behad zaroori cheez?”
“Haa. iPhone lera hu.”
“Kya? Ye sab magaj maari ek phone ke liye?”
“Phone nahi, ajooba hai vo!”
“Par store me aaya kaha hai!”
“Naya wala kon lera hai, vo ek kidney me vaise bhi kaha aayega. Garib hu, purane iphone se kaam chala sakta hu.”
“Yaani ab raat ki mazdoori se chutkara to mil gaya aapko.”
“Haa. Ab samjho ki mere garib din peeche reh gaye hai.”
“Kamaal ki garibi hai aapki!”
“Haa to. Vo garibi hi kya jo aadmi ko azaad rehne de.”